
Jhalakte hai un aankho mein maikhaane kai baar
Chhalakte hai un aankho se paimaane kai hazaar
Panapte hai un aankho mein aashiq beqarar
Khilte hai unhe dekh kar ye gulshan ye gul-e-gulzar
Daras ko un aankho k taras jaati hoon mein
Karti rehti hoon har dum buss un aankho ka intezar
Ab to na soch baaki hai na samajh baaki hai mujhme
Kar jo nahi sakti mein un aankho ka ikhtiyaar
Hothon par sajte rehte hai aksar kuch tanha tanha naghme
Un aankho k bina ab aata hai na chein aur na hi karaar
Aawaam mein zaya karti hoon mein soone se ye lamhe
Un aankho k bina nindiya bhi aane se karti hai inkaar
Kabhie meri khabar na mile to kehna unko, wo padhle zara akhbaar
Wo jo na mile to nikla hoga kahin meri maut ka bhi ishtihaar




