SILWATEIN
Posted by shiwuz on November 26, 2008
Zindagi kya hai kaisi hai kyun aisi hai
Kuch samajh mein nahi aata
Chhaayi jaise gehri udaasi hai,
Par udaasi ka kaaran nazar mein nahi aata
Ek ghadi hoti hai khushiyo se bhari,
Toh dusra pal bohot hi ghumgheen
Aisa lagta hai jaise zurm kiya ho maine
Koi bohot hi sangheen
Pataa nahi
Kisne meri hasi chura li hai
Unn maasoom baato par
Jaane kisne nazar laga di hai
Baat baat par bina vajah
Mein ro baith ti hoon
Jaane kyu aatma vishwaas
Mein kho baith ti hoon
Hasne wali mein har ghadi
Ab muskurana bhi bhool chuki hoon
Aisa lagta hai pal bhar kay sukoon ko
Jaane kabse bhukhi hoon
Do ghadi hasne ko mile
Toh jaise raahat si hoti hai
Lekin turant hi fir
Bechaini ki aahat si hoti hai
Khair, aakhir ye sab sochne wala
Mera hi toh mann hai
Inhi silwato ka naam hi
Shayad jivan hai!
Rajesh said
Hey shiwu, if its a reality, u hv 2 b very cautious. lol. In fact, positive attitude towards life will help u come out of the situation. God bless. luv.
shiwuz said
Lol Daddy, its not a reality… infact you’d be surprised to know this poem is really old, atleast 8 years I would say… one of my rookie attempts… no worries, I m perfectly okay!! 😀